Aur is kathor yathaarth ko samajhne kee, ki sangi-sathi, sapne sab choot bhi jayein to ye jeewan phir bhi chalta rehta hai bina ruke bina thame…
----------------------------------------
Chip Chip ashru bahaane waalon (ashru-tears)
Moti vyarth lutane waalon ! (vyarth –without any purpose)
Kuch sapnon ke mar jane se jeevan nahin mara karta hai
Sapnaa kya hai ? Nayan sez par,
Soya hua aankh ka paani
Aur tootna hai uska jyon
Jage kachchi neend jawani
Geelee umar banaane walon! Doobe bina nahaane waalon
Kuch pani ke bah jane se saawan nahin mara karta hai
Mala bikhar gayi to kya hai
Khud hi hal ho gayi samasyaa (samasya-problem)
Aansoo gar neelaam huye to
Samjho poori huyi tapasyaa
Roothe divas manaane walon! Phati kameez silaane waalon! (divas-day)
Kuch deepon ke bujh jaane se aangan nahin mara karta hai
Khota kuch bhi nahin yahan par
Kewal zild badaltee pothee (pothee –book)
Jaise raat utaar chandani
Pehne subah dhoop ki dhoti
Vastra badal kar aane waalon ! Chaal badalkar jaane waalon! (vastra –cloth)
Chand Khilounon ke khone se bachpan nahin maraa karta hai
Laakhon baar gagriyaan phooteen
Shikan na aayi panghat par
Lakhon baar kishtiyaan doobeen
Chahal-pehal wo hi hai tat par (tat-beach)
Tam ki umra badhaane waalon! Lau ki aayu ghatane waalon ! (tam-darkness)
Laakh kare patjhad koshish par upvan nahin maraa kartaa hai (upvan-garden)
Loot liya maali ne upvan
Luti na lekin gandh phool ki
Toofaanon tak ne cheda par
Khidki band na huyi dhool kee
Nafrat gale lagaane waalon! Sab par dhool udaane waalon
Kuch mukhdon ki naaraazee se darpan nahin maraa karta hai
Chip Chip ashru bahaane waalon (ashru-tears)
Moti vyarth lutane waalon ! (vyarth –without any purpose)
Kuch sapnon ke mar jane se jeevan nahin mara karta hai
-Padam Shri Gopal Das 'Neeraj'
No comments:
Post a Comment